Kaha Na AAj Aankhay band… lab Khamosh Rakho AAj Mere Dil Nay Tere Dil Say Iqrar Suna Hai
Lovely Poetry Tum thakk tou nahi jaao gay intizaar main tabb takk?? Mein maang ke aaon khudaa sey tumko jabb takk
Lovely Poetry Khaai thi qasam unn sey na bolaingay dil Jabb wo saamnay aaye tou hountoun par salaam agaya
Lovely Poetry Seenay sey laga kar sunn woh dharkan Jo tum sey milnay ke intizaar main hain
Romantic Poetry Zindagi veeraan thi Chaah na thi jeenay ki… Daikha ussay tou mujhe bahaana milla jeenay ka…
Lovely Poetry Uss ke jhumkoun ke saath dil mera… Jaanay kyun daaein baaein hilta hai....
Lovely Poetry Door reh kar bhi jo samaaya hai meri rooh main..... Paas waloun par woh shakhs kitna asar rakhta hoga....
Lovely Poetry Woh mujhe daikhnay qareeb aaya hai… Yeh dhund saaray mahino main kyun nahi parhti....
Lovely Poetry Muskuraa kar daikh laitay ho hamain… Iss tarah kya haqq adaa ho jaega
Lovely Poetry Dil ke andar jaa sakta hoon mein bhi uss ko paa sakta hoon.. Apni saansain mujhko dey do mein gulshan mehka sakta hoon
Lovely Poetry hamein na daikh zamaanay ki gard aankhoun sey.. Tujhe khabar nahi hum tujhe kitna chahtay hain
Lovely Poetry Mujhe itni mahaarat hai ke main saadah sey lafzoun sey… Tumhein dilkash bana doonga zara tum shaam honay do
Romantic Poetry Tera naam baar baar pukaarnay ke liye… Mein ne tere naam ki billi paal rakhi hai
Romantic Poetry Souhbat main ghair ki kahin parhi na ho yeh aadat… Dainay laga hai bousa baghair iltijaa kiye…
Lovely Poetry Apni choorhiyoun se meri shikaayat kartey kartey .. Woh rooth kar sogai hai meri tasveer sey
Romantic Poetry Na hawas uss ke jissm ki,na shouq uski lazzat ka bin matlabi sa banda hoon,usski saadgi par marta hoon…
Romantic Poetry Raah-e-ulfat mehak bhi sakti hai.. Woh merey humqadam agar hojaye…
Romantic Poetry Itni man maaniyaan achi nahi hotin.. Tum sirrf apnay hi nahi merey bhi ho…
Lovely Poetry Hazaaroun mashghalain hain jo mujhe masroof rakhtay hain… Magar tum dheet aisay ho,ke phir bhi yaad aatay ho
Lovely Poetry Tum wahaan takk tou merey saath chalo… Jiss jagah takk yeh zindagi tehri..