Sad Poetry Thourhi si khuddaari bhi tou laazmi thi… Uss ney haath choorhaya mein ney choar diya
Lovely Poetry Maloom bhi hai unhay zaroorat hi nahi Saagar.. Unn ke saath rehtay hain shayad koi kaam aajaein
Lovely Poetry Phir yuun huwa ke raasta yakja nahi raha … Woh bhi anaa parast tha mein bhi anaa parast
Lovely Poetry Tum ney daikhi hai woh jabeen woh rukhsaar woh hount… Zindagi jin ke tasawwur main loota di hum ney......
Romantic Poetry Tera naam baar baar pukaarnay ke liye… Mein ne tere naam ki billi paal rakhi hai
Romantic Poetry Souhbat main ghair ki kahin parhi na ho yeh aadat… Dainay laga hai bousa baghair iltijaa kiye…
Lovely Poetry Apni choorhiyoun se meri shikaayat kartey kartey .. Woh rooth kar sogai hai meri tasveer sey
Sad Poetry Sukh hi sukh ataa karoongi tujhe.. Yeh keh kar mukar gai zindagi…
Sad Poetry Mohabbat jaanay waaloun ke liye routi hai … Choarh ke jaanay waloun ke liye nahi
Romantic Poetry Na hawas uss ke jissm ki,na shouq uski lazzat ka bin matlabi sa banda hoon,usski saadgi par marta hoon…
Romantic Poetry Raah-e-ulfat mehak bhi sakti hai.. Woh merey humqadam agar hojaye…
Lovely Poetry Tu yahaan nahi tou wahaan zaroor millay ga… Jahaan tujhe bhi aana hai aur mujhe bhi…
Romantic Poetry Itni man maaniyaan achi nahi hotin.. Tum sirrf apnay hi nahi merey bhi ho…
Lovely Poetry Hazaaroun mashghalain hain jo mujhe masroof rakhtay hain… Magar tum dheet aisay ho,ke phir bhi yaad aatay ho
Lovely Poetry Tum apnay rabb par bohat bharosa rakhtay ho… Tou yeh bhi jaan lo ke tumhaara rabb iss bharosay ko kabhi tootnay nahi dega…
Sad Poetry Jabb koi baat tum sey karta hoon… Khoob routa hoon aahain bharta hoon…
Lovely Poetry Teri chaahat ney teharnay na diya… Warna raah main kitnay thikaanay aaye.
Sad Poetry Karoonga kiya jo mohabbat main hogaya nakaam … Mujhe tou aur koi kaam bhi nahi aata…
Sad Poetry Wafaa ka zakham hai gehraa,tou koi baat nahi… Lagao bhi tou hamein unn sey intihaa ka tha
Lovely Poetry Tum wahaan takk tou merey saath chalo… Jiss jagah takk yeh zindagi tehri..